
Introduction
Love ek aisa word hai jo aapne har age group ke insaan se suna hoga. Aajkal har chauraha, gali-mohalla, village, aur city-country me aapko aise log milenge—chhote se jawaan aur jawaan se budhe—jo kisi na kisi se love karte honge. Koi ek se toh koi ek se zyada se; kuch log time-pass ke liye, aur kuch log serious love mein padhe hain. Kabhi yeh time-pass ladke ki taraf se hota hai, kabhi ladki ki taraf se, aur kabhi dono hi taraf se.
Andha Lagav: Jab Love Junoon Ban Jaaye !
Kuch log apne emotions me itne involve ho jaate hain ki woh apni family, apne doston, aur apne rishtedaaron se khud ko alag kar lete hain aur in sabko apna dushman samajhne lagte hain. Jo koi bhi inhe samjhaane ki koshish karta hai, yeh un logo ke khilaaf ho jaate hain aur unhe apna sabse bada dushman samajhne lagte hain. Unka sirf ek hi focus hota hai—unka partner, jo unke liye sab kuch ban jaata hai. Unhe lagta hai jaise unka partner kisi doosri duniya se aaya ho, bo unke saath loyal hai, aur sabse alag hai. Kuch to unhe farishta tak samajhne lagte hain.
Par jab yahi partner unhe dhokha deta hai, toh yeh apne aap ko tarah-tarah se nuksaan pahuchate hain—kuch suicide karte hain, kuch awara, pagal, majnu ban jaate hain, aur kuch apne aap ko depression jaisi bimari me daal kar duniya se alag kar lete hain. Yeh log apni life me kisi par dobara bharosa nahi kar paate, kyunki unka dil bahut buri tarah se toota hota hai. Is wajah se unka mindset ban jaata hai ki duniya ka har insaan dhokhebaaz hai.
Example : Kaise Toota Dil Sach Mein Duniya Par Bharosa Chheen Leta Hai ?
Jaise Neha, ek college student, apne dost Rahul ke saath relationship me thi. Rahul ne uska bharosa toda aur usko chhod diya. Us din ke baad Neha apne doston aur family se door rehne lagi, kyunki uska maanna tha ki agar Rahul ne uska bharosa toda, toh duniya me kisi par bhi bharosa nahi kiya ja sakta. Yeh ek asli example hai jo dikhata hai ki kis tarah ek dil toota hua insaan duniya se apna bharosa kho sakta hai.
Cycles of Hurt : Jab Log Apna Dukh Dusron Par Thopte Hain !
Fir kuch aise bhi log hote hain jo suicide ya depression ke raste par nahi jaate, par woh aur logon ke trust ke saath khelna shuru kar dete hain. Inki soch hoti hai ki “agar mere saath aisa hua toh main bhi doosron ke saath yahi karunga.” Yeh log bhi pehli galti se kuch seekhne ki bajaye wohi cheez auron ke saath dohraate hain.
Question: Kya yeh sahi hai? Kya yeh soch theek hai ki jo takleef humne jheli, woh kisi aur ko bhi jhelni pade? Yeh woh log hain jo apne dil ke zakhmon ko dusron ke dilon par chhodna chahte hain.
Example: Dard Ka Rishta: Jab Jazbaat Badal Dete Hain Mohabbat Ka Rang !
Ravi, jisne college me apni girlfriend se dhokha khaya tha, uske baad uska bhi yahi maanna tha ki “love sirf dhokha hota hai.” Is wajah se woh har nayi ladki ko sirf time-pass ki tarah treat karne laga, kyunki uske mindset me yeh baith chuka tha ki love sirf dhokha hai; asal me love jaisi koi cheez nahi hoti. Kuch had tak yeh baat sahi bhi hai, kyunki aajkal kayi log ek doosre ke saath sirf interest ke liye hote hain. Jaise hi interest khatam, partner change ho jaata hai.
Par iska matlab yeh to nahi ki jo dard hume mila hai, woh hum har kisi ko de. Balki yahaan samajhna chahiye tha ki jo dard usne saha, woh kisi aur ko na de. Par aise log sirf apne dard ka badla sabse lete hain, jo dard khud saha, woh sabko dene ki koshish karte hain.
Shocking Realities: Jab Relationships Family aur Friends Ke Khilaaf Kar Dein !
Iske alawa, kuch aise log bhi hote hain jo apni family ko apna dushman bana lete hain. Yeh woh log hote hain jo ya toh ghar se bhaag ke shaadi kar lete hain ya bina shaadi ke rehne lagte hain, jo aaj living relationship kehlata hai. Par kuch log, jo abhi chhote hote hain aur shaadi nahi kar sakte, woh galat tareeke ka use karte hain partner se milne ke liye. Gift aur party dene ke liye yeh log choriyaan karte hain ya jhooth bolkar ghar se paise lete hain.
Agar ghar waalon ko pata lag jaaye aur woh inhe samjhane ki koshish karein, toh yeh family ko apna dushman bana lete hain. Real-life me aise bahut cases hue hain jisme logo ne apne ghar waalon ki jaan le li, sirf is wajah se ki unhone inhe unke partner se milne se mana kiya.
Example : Jab Love Mein Jhooth Chhup Jaate Hain: Teen Relationship Aur family Ki Duniya Par Unka Asar !
Ramesh aur Rina, dono school students, apne relationship ke chakkar me apne parents se jhooth bolkar paise lete the taaki ek doosre ko gifts de sakein. Ek din Ramesh ke parents ko pata lag gaya, aur jab unhone use samjhane ki koshish ki, toh Ramesh apne ghar waalon ke khilaaf ho gaya aur unhe apna sabse bada dushman samajhne laga.
Yeh hamesha dekhne ko milta hai ki jab log aisi situation me apne hi parents ke against ho jaate hain. Lekin kya aapko yeh pata hai? Asal me yeh love nahi hota. Yeh sirf umeedon ke base par bani feelings hoti hain, jinka reality se koi sambandh nahi hota.
Jab Love Dhundla Jaye: Umeedon Ki Taqat Aur Uska Andhera !
Lekin kya aapko ye pata hai? Asal mein, ye love nahi hota. Ye sirf umeedon ke base par banayi gayi feelings hoti hain, jo aapko har kisi ke khilaaf kar deti hain. Woh feelings jinka reality se koi sambandh nahi hota. Yeh sirf umeedon ki ek kahani hoti hai, jo hum apne man mein banate hain.
Jab yeh umeedein puri nahi hoti hain, ya jab yeh umeedein do partners ke beech hadh se zyada badh jaati hain, toh ladaai-jhagde shuru ho jaate hain. Aur ant mein dono partners alag ho jaate hain. Jo kal tak ek dusre ke liye jaan dene ko tayar the, jo puri duniya ko apne khilaaf kar chuke the, woh ab ek dusre ke saath rehna toh door, ek dusre ko dekhna bhi nahi chahte.
Wahi chehre, jo kal tak jaan se pyare the, aaj ajeeb aur galat lagne lagte hain. Jo kal tak unka sab kuchh the, woh aaj kuchh bhi nahi bachte. Balki ab ek dusre ko bura kehte hain, us din ko bura kehte hain jab pehli baar mile the. Apne aapko pagal kehte hain ki unhone kyun love kiya aur kyun shaadi ki. Yahan tak ki love ko bhi bekaar keh dete hain. Yehi hota hai umeedon ki in feelings ka ant.
Example : Iska koi example main aapko nahi dunga, kyunki main chahta hoon ki aap khud iska example dhoondein aur comment mein mujhe batayein.
Social Media ke side effect:
Ye sab sirf social media ki wajah se hai. Jo hum social media par dekhte hain, usi ko sach maan lete hain aur bhool jaate hain ki ye sab jhooth hai. Social media ne hume ek aisi jhoothi duniya mein fasa diya hai, jisme sab kuchh sach lagta hai, par asal mein kuch bhi asli nahi hota.
Aaj humara mindset bahut galat ban chuke hai, jise sudharne ki zarurat hai. Yehi sahi samay hai samajhne ka ki hamesha umeedon par zindagi nahi chalti. True love kya hota hai, ye hum aapko apne agle blog mein batayenge.
Kuchh Questions Jinka Jawaab Main Aapse Chahta Hoon:
1.Kya inhone sach mein ek dusre se love kiya tha?
2.Kya ye love tha jisne aapko galat kadam uthane par majboor kiya?
3.Log ye kyun nahi sochte ki galat raaston ka anjaam kabhi sahi nahi hota?
4.Kyun log nahi samajhte ki jo parents unke liye itne sacrifices bina kisi expectation ke karte hain, unhe hurt karke kaise khush raha ja sakta hai?
5.Kyun log nahi sochte ki jo aaj aapke liye apni family ko dhokha de raha hai, kal woh aapko bhi dhokha dega?
Note: Har ek prashn ka jawaab apne vichar ke saath comment karein. Main aapke thoughts jaanne ke liye utsuk hoon. 😊
Hamare saath jude rahiye aur naye insights aur knowledge ke iss safar ka hissa baniye. Apne vichaar aur sawalon ko comments mein zaroor share kariye – kyunki aapka support is safar ko aur bhi behtareen banata hai.
More Blogs
Paise ki Value :Paise,Success and happy life is?
The Success Myth Exposed: Why Most People Fail Relentlessly
The Secret of the Success :Kyun Log Successful Nahi Bante?
The Truth About Love: Are Our Expectations Unrealistic?
Logo Se Respect Karaye Like The King: 100% Powerful Formula